Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com
Subject: ** PARVEEN SHAKIR **
Replies: 11 Views: 1187
01awan01 14.11.11 - 09:05am
As salam o alaikum
Some poetry of poetry queen PARVEEN SHAKIR *
01awan01 14.11.11 - 09:08am
Jitna b us ko sochun ,,
utna he door paon ,,
Jitna b us ko chahun ,,
khud he bikhrti jaon ,,
Main aam C musafir ,,
be-aas, be-sahara ,,
Wo door basny wala ,,
aik aasmaan ka tara ,,
Main rait sy ulajhti ,,
sehraon ki hawa hun ,,
Wo sahilon py chalta ,,
baad-e-saba ka jhonka ,,
Haan farq to boht hy ,,
pr baat ye faqat hy ,,
Main laakh toot jaon ,,
khud he sy rooth jaon ,,
Pr yh na ho ga muj sy ,,
k ,,
MAIN US KO BHOOL JAON.!!! *
01awan01 2.12.11 - 06:28am
Mumkinaa faislon mein aik, hijer ka faisla bhi tha
Hum ney tou aik baat ki, usney kamal kar dia.....!!
*
sima77 2.12.11 - 04:25pm
Kuch tou hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi
Baat wo adhi raat ki raat wo puray chand ki
Chand bi aen cheet ka us pe tera jamal bhi
Sub se nazar bacha ke wo kuch aisay muj ko dekhta
Ek dafa tou ruk gai gardish e mah o saal bhi
Dil tou chamak sakay ga kya phr b tarash k dkh leyn
Shesha giran e shehar ke hath ka ye kamal bhi
Us ko na pa sakay thay jub dil ka ajeeb haal tha
Ab jo plat ke dekhye baat ti kuch mahal bhi
Us ki sukhan tarazyan meray lye bi dhaal baneyn
Us ki hansi me chup gaya apnay ghamon ka haal bhi
Meri talab tha jo ek shakhs wo jo nahi mila tou phir
Hath dua se yun gira bhool gaya sawal bhi
*
01awan01 27.12.11 - 09:42am
Orignaly Post by Sima77
KaSh......!!!
Koi iN PAgaL Larkiyo ko...
ye Jaa Kar SumJha De.....
Ke...........
M0habBet Kuch NAhi Deti... Siwaye.....!!
..... Hijaar Ki Lambhi RaaTo Ke............. !!!
(PerVeen ShaKir) *
01awan01 27.12.11 - 10:34am
kro ge tark-e-talaq yeh tum sa wadda raha,
zara badan sa sans ka rishta to toot janay do.. *
sima77 27.12.11 - 12:51pm
Thanx bro main bhool gai ti k aisa koi topic b hai :-D *
01awan01 27.12.11 - 12:58pm
haha its ok men hon na yad dilane k lie *
sima77 27.12.11 - 01:09pm
Ku'bako phail gai bat shanasai ki___________.Is ne khushbo ki tarahmeri pazeerai ki,__________Woh kahi b gia loota tu meri pas aya,_________.Ik yehi bat hai achi mere harjai ki,___________Tera pehloo tere dil ki tarah abaad rahay,________Tujh pe nah guzray qayamat shab e tanhai ki,___________Is ne jalti hoe peeshani pe jab hath rakha,________Rooh tak aa gai taseer maseehai ki, *
01awan01 29.12.11 - 10:16am
Main Uski zaat pe aisay yaqeen rkhti h00n
K Jesy pa0n k neechy zameen rkhti h00n
Haqiqat0n ki t0 bds0orati hai apni jagah
Magar me khuwab b0hut dil nasheen rakhti h00n
Ye Naz hai k k0i nadan mera dushman nahi
Ye fakhr hai k me Dost b0hut Azeem rakhti h00n *
01awan01 4.01.12 - 01:37pm
Niya Drad Ek Aur Dil Main Jaga Kar Chala Giya
Kal Pher Woh Mere Shaher Main Aakar Chala Giya, ...
Jise Dhoondti Rahi Main Logo Ki Bheer Main
Mujh Se Woh Apna Aap Chupa Kar Chala Giya,
Main Uski Khamoshi Ka Sabab Poochti Rahi
Woh Qaisay Edhar Udhar k Suna Kar Chala Giya,
Yeh Sochti Hoon Kayse Bholaaongi Ab usay
Ek Shaks Woh Jo Mujhko Bhula Kar Chala Giya.....
(Parveen Shakir) *
01awan01 1.04.12 - 02:27pm
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun
sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun
sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun
mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun
tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun......!!
*