WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrDu-AdAb - Topics
Create Your Own App Store

* UrDu-AdAb > Topics


Subject: **Salam Hussain Ibn e Ali **
Replies: 23 Views: 6910

sima77 27.11.11 - 05:49pm
DTLVQ56P0IGMMBh6A2ky.jpg *

sima77 27.11.11 - 06:45pm
~* Salam Ya Hussain*~
Wo jis ne apny NaNa ka wada wafa kar dia
Ghar ka ghar supard-e-KHUDA kar dia
.
Nosh kar lia jis ne shahadat ka jaam
Us Hussain Ibne-Ali par lakhon salam
~*~ ~*~ ~*~
*

sima77 27.11.11 - 06:46pm
Salaam Ya Hussain
Salaam Ya Hussain
Tum Par Laakho Salaam Ya Hussain
Tum Par Laakho Drood Ya Hussain
Qurbaani Hain Kitni Suhaani
Islaam Ki Zinda Kahani
Di Jo Sajdaiy Main Jaan Ya Hussain
Aay Nawasa-E-Rasool (P.B.U.H) Ya Hussain
Tum Par Laakho Salaam Ya Hussain
Karbla Ki Zameen Ro Rahi Hain
Khon Say Wo Zard Ho Rahi Hain
Aankho Main Ashk Rawa Hain
Dil Mera Ya Hussain Kahy Raha Hain
Darbaar-Hussain Main SalaamPaish Karta Ho Farooqi
Darbaar-Hussain Main Jaan Paish Karta Ho Farooqi
Salaam Ya Hussain
Salaam Ya Hussain
*

sima77 27.11.11 - 06:47pm
Salam YA Hussain a.s hazar sajday zameen-e-harum pay hon laikin
hasoOl-e-roOh-e-ibadat nahi tou kuch bhi nahi
bata dia hay Nabi(PBUH) kay taweEeeel sajday nay...
Hussain(A.s) teri Mohobut nahi tou kuch bhi nahi..
*

sima77 27.11.11 - 06:48pm
Dare ZAHRA (S.A) sa koidar to dhund ke laa,
Duniya mein nahi milega tu jannat se dhund ke laa,
Humhe fakkr hai ke hum hain iss dar ke ghulam,,
Tu jaa hum jaisa kisi or ka muqaddar dhund ke laa...
*

sima77 27.11.11 - 06:50pm
Salam Ya Husain!!
Apni taqdeaer Jagatey hen tere Matam se,
Khoon ki raah bechaty hen tere Matam se,
Apne izhar-e-aqeedat ka saliqa ye hai,
Hum naya Saal manatey hen terematam se.
*

sima77 27.11.11 - 06:50pm
Zom e kasrat tha jinhain sab wo hijazi nikle
Wo 72 they jo kirdar k ghazi nikle
Is haqiqat ko bhala kon chupa sakta hy
Jitne Shabbir k qatil thy namazi nikle *

sima77 27.11.11 - 06:52pm
SAB KUCH QURBAAN KAR DIA ALLAH KAY NAAM PAR
ASGHAR SA PHOOL BHI NA BACHAYA HUSSAIN NA
*

sima77 27.11.11 - 06:53pm
Janat Ki Aarzu Main
Kahan Ja Rahe Hyn Log
Janat Tou Karbala Main
Khareedi HUSSAIN Ny
Dunya-o-Aakhrat Main
Jo Rehna Ho Chain Sy
Jeena ALI Sy Seekho
Marna HUSSAIN Sy
*

sima77 27.11.11 - 06:54pm
Yun Hi Nahi Jahan Main
Charcha HUSSAIN Ka
Kuch Dekh K Hua Tha
Zamana HUSSAIN Ka
Sar De k Do Jahan Ki
Hukumat Khareed Li
Mehanga Para yazeed Ko
Sauda HUSSAIN Ka ...
*

sima77 27.11.11 - 06:55pm
Nabi (Risalat)Ali (imamat)Nabi (Haqoomat)Ali (Riyasat)Nabi (Adalat)Ali (Waqalat)Nabi (Sakhawat)Ali (Wirhasat)Nabi (Rasol Allah)Ali (Asad-ul-ALLAH)Nabi (Habib-ul-ALlah)Ali (Wali-ul-ALLAH)Nabi (Hifz)Ali (Hafiz)Nabi (Quran)Ali (Zubaan)Nabi (Ibtida)Ali (Intiha)Nabi(Shaher)Ali (Dar)Nabi(Mustafa)Ali (Murtaza)Nabi(Talwar)Ali (vaar)Nabi(Ameer aur Mukhtar)Ali (Haider-e-Karrar) ... *

sima77 28.11.11 - 04:56am
Mera
HUSSAIN
Bagh-e-Nabowat ka Phool hy
Haider ki is me Jan hy Khoon-e-Batool hy
Ktni Azeem Zaat hy Mola Hussainki,
Jis k lie Rasool k Sajdon me Tool hy
Dunya me aur kon hy Shabir k bghair,
Aisa Swar jis ki Swari Rasool hy
Guzra jahan jahan se Nwasa Rasool ka,
Ab tak wahan Khuda k Kram ka Nazool hy
Jis k lya yazid ne itnay sitam kiye,
Wo Takht to HUSSAIN k Qadmon ki Dhool hy. *

01awan01 30.11.11 - 09:42am
Insan ko baedar tu ho lainae do

har shaks pukarae ga hamarae hai hussain
*

aftab_kn 1.12.11 - 04:31am
plz dosto dnt mind nd dnt angry wth me, YA HUSAIN , YA NABI na kahe sirf YA ALLAH hum keh sakte hai,

B'coz ALLAH har jagah HAZIR or R hai,

ha Qabar - e - Ather par hum Ya Nabi keh sakte B'coz wahan humare Nabi s.a.w. Hazir hai,

Allah hum sab ko sahi samaj ata kare aamin.. *

sima77 2.12.11 - 07:40am
I didnt knw tht its nt in ma knwledge aftab bro but if tht so realy i appologize to Allah pak , Allah meri ic lailmi pe muje maaf kre n sory c u 2 . I m editing d tpc dnt wry. *

01awan01 5.12.11 - 06:54am
Daleel_e_Fatah To Dekh Ay HUSSAIN a.s K Qatil,

K

Jiss Sir Ko Jhukanay Aaay Thay, Ussi Sir Ko Utha Ker Chalay.
*

01awan01 5.12.11 - 10:01am
Kaaley Libaas Se Na Chupey Ga Ye Siyah Dil...
Matam Se Khoon Maaf Na Hoga HUSSAIN Ka...

Nohay, Alam, Sabeel, Majalis-o-Zuljanah....
Hai Qatal Chupaney Ko Ye Charcha HUSSAIN Ka...

Kartey Hai Aah-o-Zaariyan- o-Azza Daariyan....
Mohsin Jo Jantey Nahi Rutba HUSSAIN Ka...
*

01awan01 5.12.11 - 10:14am
Zikar-E-Hussain aya tO AankhEin chalak parEin..

Paani kO kItna Piyar haI ab bhI Hussain sE.
*

01awan01 5.12.11 - 10:18am
The event of Karbala is one of the most tragic events of our history, but the Holy
Prophet (Sallallaahu Alayhi Wasallam)
has forbidden us
from holding the
mourning
ceremonies on the death of
any person. The people of
jahiliyyah
(ignorance) used to
mourn
over their deceased
through loud lamentations, by
tearing their clothes
and
by beating their
cheeks and chests. The Holy
Prophet (Sallallaahu Alayhi
Wasallam) stopped
the Muslims from
doing all this and
directed them to observe
patience by saying Innaa lillaahi
wa innaa ilayhi
raaji'oon. A
number of authentic
Ahaadith are available on
the subject. To quote
only one
of them:
He is not from our
group who slaps his checks,
tears his clothes and cries
in the manner of the
people of
jahiliyyah. (Sahih
Bukhari) All the authentic
jurists are unanimous on the
point that the
mourning of
this type is absolutely
impermissible. Even
Sayyidna Husain (Radhiallaahu
nhu) at shortly
before his demise, had
advised his
beloved sister
Sayyidah Zainab (Radhiallaahu
nha) at not to
mourn over his death in this
manner.
He
said, My dear sister, I
swear upon you that
you, in case I die, shall not
tear
your clothes, nor
scratch your face, nor curse anyone for
me or pray for
your death. (Al- Kamil, ibn
Kathir vol.
4 pg. 24)
It is evident from this advice of
Sayyidna Husain,
(Radhiallaahu nhu) that
this type of
mourning is
condemned even by the blessed person
for the memory of whom
these
mourning
ceremonies are held.
Every Muslim should avoid this practice
and abide by the teachings
of the Holy
Prophet (Sallallaahu
Alayhi Wasallam)
and his beloved grand child Sayyidna
Husain (Radhiallaahu
nhu). *

01awan01 6.12.11 - 02:48pm
Keh do Gham-e- Hussain Mananey walon ko,
Momin Kabhi Shohadaa ka Maatam nahi kartey.

Hai Ishq Apni Jaan se zyada Aal-e-Rasool se.
Yoon Sar-e-Aam Hum Un ka Tamasha nahi kartey.

Rooen wo jo munkir hain shahadat-e-HUSSAIN k,
Hum zinda-o-javed ka maatam nahi kartey...!

(Allama Iqbal) *

01awan01 6.12.11 - 03:37pm
Sayyedna Hazrat HUSSAIN ( ) Ke Behn Sayyeda Zainab ( ) Ne Qatileen E HUSSAIN Se Kaha:

Ay Ahl E Kufa Kis Waja Se Tum Roty Ho, Tum Hum Pe Ye Girya o Nala Karty Ho?

Halan K Tum Ny Khud Humain Qatal Kia... Ay Matam Karne Walo! Tum Qayamat Tak Matam Hi Karte Raho Ge Yehi Tumhari Saza Hai.

(REF:JILA UL UYON/ JILD2/
PAGE-593)

Wah MOLA! kia Saza Di Qatil E HUSSAIN ko...
Apna Hi Seena Peet,ty Hain Aqidat K Naam Py.. *

01awan01 6.12.11 - 05:43pm
LcT44UhOccSKZ8pTPg9j.jpg *

01awan01 6.12.11 - 06:44pm
Allama Iqbal VS Mohsin Naqvi....!

Mohsin Naqvi....


Kehte hai bare fakhr se hum Gham nahin karte, ... -
Maatam ki sadaa sunte hain Maatam nahi karte,-

Woh log bhala samjheinge kya Ramz-e-Shahadat, -
Jo Eid to karte hain Muharram nahi karte,-

Kyon aap ka dil jalta hai kyon jalta hai Seena,-
Hum aap ke seene pe to Maatam nahi karte,-

Mohsin yeh Maqbool Riwayat hai jahan mein,-
k Qatil kabhi Maqtool ka Maatam nahi karte...!

**** ~ ****

Allama Iqbal

Keh do Gham_e_Hussain Mnaney walo ko
Momin kabhi shohadaa ka Matam nai karty Hai

ishq apni jan say zayada Aal_e_Rasool(s.a.w) say Yoon
sar_e_Aam ham un ka Tamasha nai karty

Roen wo jo Munkir hain shahadat_e_Hussain(R.A) K
Ham Zinda_o_Javaid ka Maatam nai karty....! *

sima77 7.12.11 - 03:36am
Wow! Subhan Allah ,bht khoob bro . *


* Reply
* UrDu-AdAb Forum


Search:
topics replies


* UrDu-AdAb

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store