Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com
Subject: ** 2 Lines Poetry ** P: 2
Replies: 1111 Views: 18591
01awan01 19.12.11 - 09:42am
jo mera naam bhi leta tha duaon ki trah..!
sochta hon mujhy kis toor se bhoola ho Ga..! *
01awan01 19.12.11 - 09:43am
Kiun main kroon ye dua k usay mari umar lag jaye.....!
Ho sakta hai aaj raat aakhri ho meri zindagi ki..........! *
01awan01 19.12.11 - 09:46am
Tera chehra in aaNkhoN meN puraana ho gaya hai
KahiN phir mil,tujhe dekhe zamaana ho gaya hai...! *
01awan01 19.12.11 - 09:47am
Tera na ho saka mera tu mar jaungi
Kitna khobsurat wo jhot bolti thee...! *
01awan01 19.12.11 - 09:48am
Agar bana deta ek lakeer payar ki mere haton mein khudha
Na jane kitni khushiyon ka maalik hota aaj main bhi.............! *
01awan01 19.12.11 - 09:49am
Chalta tha kabhi hath mera tham kar jis par,
Karta hai bohat yaad wo rasta usay kahna ,!! *
01awan01 19.12.11 - 09:50am
Dhoop kay Zamanoon mein Aitbaar ka Mosam
MOOM ki Haqeeqat thi yoon Pighal gai Jaisay...!!! *
01awan01 19.12.11 - 09:54am
Na sawal sood_o_ziyan ka ker, hay wo kia jo mujh ko milla nahi
Meray humsafar tu yaqeen ker, mujhay tujh say koi gilla nahi....! *
01awan01 19.12.11 - 09:58am
Na janey kaun sa jazba tha jis ne khud hee
Meri hee zaat ka dushman banadiya mujh ko *
01awan01 19.12.11 - 10:04am
dil mein na ho jurrat to mohabat nahi milti
Khairaat mein itni badi dolat nahi milti
*
01awan01 19.12.11 - 10:07am
Tum Jo Auron Ko Batatay Ho Jeenay K Tareeqay...
Khud Apni Mutthi May Meri Jan Liye Bethay Ho... *
01awan01 19.12.11 - 10:07am
Abhi Jastaju Mn Hn Uski Tou Ehsas Nahi Usko Mohsin
Ro Ro K Pukary Ga Hme Zara Mar Tou Janay Dou ... *
01awan01 19.12.11 - 10:08am
Badi Mushkil Hai Iss Nadaan Dil Ki Khwahish
Ek Shaqs Iska Hona Nahin Chahta, Aur Yeh Use Khona Nahin Chahta
*
01awan01 19.12.11 - 10:09am
Tumhaari ulfat se chal rahi hain meri sansein Ay Dost
Jab tak mujhe pyar karo zinda rahunga main *
01awan01 19.12.11 - 10:10am
Nahi mumkin k tumko yaad na aaey wo bheegi shaM..
Tumhein brson rulaey ga HUMare baad DECEMBER..! *
01awan01 19.12.11 - 10:11am
Woh mujhe pyar se rotay main hansane wali
Yaad aati hay to hanstay main rula daity hai..! *
01awan01 19.12.11 - 10:12am
Chalo ab mout ka samaan kar lain...........!
Keh jeena to yahan mAhenga bohot hai...!! *
01awan01 19.12.11 - 10:12am
Ham Hain Wo Loag Jin Ki Koi Manzil-e-Sahara Nahin
Doobe Hain us Samunder Main Jis Ka Koi Kinara Nahin *
01awan01 19.12.11 - 10:13am
Sham hoty hi teri yadoon ki pagal khushbou
Need aankhon sy sakoon dil sy chura leti hy *
01awan01 19.12.11 - 10:14am
Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..! *
01awan01 19.12.11 - 10:15am
Ajab Si Kifiyat Hoti Ha,UnKi Yaad Any Pr
Khumaar-E-Neend B Hota Hy Par Hum So Nahi Paty. *
01awan01 19.12.11 - 10:16am
Ager Mujh Se Bicherne Ka Nahe Hai Gham Osay Mohsin
Tu Phir Khamosh Raaton Main Wo Akser Jagta Kiyu Hai *
01awan01 19.12.11 - 10:17am
Ye rida -e- jaan tujhay sounp doun k na dhup tujhko kari lagay..........!!
Tujhay dukh na dein mere jeete jee sar -e- dasht gham ki tamazatein!! *
01awan01 19.12.11 - 10:18am
Tumhien aayena-gaarri main hai bohat KAMAL haasil.,
Mera DIL hai karrchii karrchii Esy Joor ker dekhaao....!! *
01awan01 19.12.11 - 10:19am
Palkein chamak uthi hain sote mein hamari
Aankho ko abhi khwab chhupane nahi aate...............!!! *
01awan01 19.12.11 - 10:20am
Mein yahi soch ke baitha hoon teri mahfil mein,
Shamma bujh jaye to phir kaun hai jalne ke liye! *
01awan01 19.12.11 - 10:23am
Jo fanaa huye Gham-e-ishq mein unhen zindagi ka na Gham hua
Jo na apanii aag mein jal sake wo paraaii aag mein jal gaye......! *
01awan01 19.12.11 - 10:24am
Wahan say ek boond pani nahin nikal saka AY DOST
Tamam umr jin ankhon ko hum jheel likhtay rahay,,,,,,! *
01awan01 19.12.11 - 10:25am
Mera shaoor behlta nhi hai lafzo se
Main tere khat k nahi,teray intezar main hon.....!! *
01awan01 19.12.11 - 10:26am
Mun-hasir ahl-e-sitam par hi nahin hai Mohsin
Log apnon kii inaayat se bhii mar jaate hain...!! *
01awan01 19.12.11 - 10:32am
Mila ke hath ek roz khud hi daman chhuda liya usne humse,
Wohi shakhs jo kabhi aaghosh mein sone ki zid kia karta tha..!! *
01awan01 19.12.11 - 10:33am
Wo to aisa tha ke ek ansu girne ki waja pucha karta tha...
per na jane kyo ab usay barsaat ki pehchan nahi hoti....!!! *
01awan01 19.12.11 - 10:34am
Aik Misraa hai Zindagi Meri...........
Tum jo chaho to Sha'air hojaey !! *
01awan01 19.12.11 - 10:37am
Mushkil nahin tha kabhi tumse DIl ka lagaana........
Bus tumhare Intezaar ki takleef bahut dard deti hai. *
01awan01 19.12.11 - 10:38am
Wo ye samajhte hai k mein her chehrey ka talabgaar hoon ~~mohsin~~
Mein dekhta sabhi ko hoon bus USKI talaash main.....!!! *
01awan01 19.12.11 - 10:44am
Myre shikwon par us ny haans kar kaha ...
Aur kis ne ki tum sy wafa jo ham karte ... *
01awan01 19.12.11 - 10:45am
Do ghari sakoon ki khatir ham nain barson azaab jhaila hai,,
Us say kahna ajtak ik shakhs us k hotay huay akaila hai,,,,,,, *
01awan01 19.12.11 - 10:46am
Har mod per mil jaate hai hamdard hazzar,
hayad meri basti mein andhera bahut hai... *
01awan01 19.12.11 - 10:47am
Nahi Woh Shaqs Muqaddar Mein Phir Bhi Us Se Milte Hain
Badha Pur Lutf Lagta Hai Muqaddar Ko Sazaa Dena
*
01awan01 19.12.11 - 10:48am
Apni jaan to sulagti hai Jaana Agarbattiyan ho jaisi,,,,
Teri yaad ne mujhe mehka bhi diya aur jala bhi diya.... *
01awan01 19.12.11 - 10:49am
Reza-reza hoke kitni door tak bikhra hoon
Dukh to hona tha tere haath se jo toota hoon *
01awan01 19.12.11 - 10:49am
Hazaar Gham Sahe Lekin Na Aaya Aankh Mein Aansu,,
Hum Ehle Zarf Hein Peete Hein Chhalkaya Nahi Karte..........!!! *
01awan01 19.12.11 - 10:50am
Sehra sehra tashnagi lekar bhatakta hi raha,
Zindagi sookhi nadi si hai uske jaane ke baad.............!!! *
01awan01 19.12.11 - 10:51am
Aaye koi aa ker ye tere dard subhaley
Hum se to ye jageer subhali Nahi jati....!! *
01awan01 20.12.11 - 12:24pm
Me bhi dekhunga usey mang kar ek din,
Log kehte he mango toh khuda deta hai..
*
01awan01 20.12.11 - 12:25pm
Zahir kise surat bhi kanhi naam na karna ...
Hain log bahot khaas hame aam na karna .. *
01awan01 20.12.11 - 12:29pm
Un se mili nazar to palat kar na aasaki
Woh rishta nigaah bhi kab darmeyaan raha
*
01awan01 20.12.11 - 12:34pm
Ab yeh alam hai ke soorat hi nazar ajaye
Woh mohabbat bhi shaz-ya yeh kab kehta hoon *
01awan01 20.12.11 - 12:35pm
Aaj ka din bhi dar-o-baam ko taktey guzra,
Aaj ki raat bhi ankhon mein ganwa di jaye..
*
01awan01 20.12.11 - 12:39pm
Aur kya koi is se zeyada narmi bartoon,
Dil ke zakhmon ko chua hai tere galon ki tara
*
This topic is locked.
UrDu-AdAb Forum