WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrDu-AdAb - Topics
Create Your Own App Store

* UrDu-AdAb > Topics


Subject: ** 2 Lines Poetry ** P: 2
Replies: 1111 Views: 18592
6-<< 2-< 1-> 7->>

01awan01 14.01.12 - 06:58am
Ek khwaab ho ke reh gai hai rasm e muhabbat

Ek weham sa hai ab ke mere saath tum bhi the *

01awan01 14.01.12 - 06:59am
Teri yaadein bhi tujh si zalim hein........AY-JAANA

Jab dekhti hein tanha humein satane chali ati Hein *

01awan01 14.01.12 - 07:03am
Kharch jitna karoon ye bharti ha

Yaad teri ajeeb dolat ha............!! *

01awan01 14.01.12 - 07:04am
Jate Hue Us Shakhs Ne Ek Ajab Bad'dua Si DUAA Di,,,

TUJHY Mile Do Jahan Ki Khushiyan Par Koi MUJH Sa Na Mile.. *

01awan01 14.01.12 - 07:11am
Roz aata hai merey DiL ko tassali deney..

Tujh se to aey Dushman-e- Jaan..! tera Khayal acha hai..!
*

01awan01 14.01.12 - 07:14am
Muhabbat main Nahi hai Farq Jeeny or Marny Ka,

kay Jis Ko Daikh k Jeety hain Usi Zaalim Py Marty hain.. *

01awan01 14.01.12 - 07:18am
Humari aankh ki dehleez par thehra hoa aik ansu.

K jese hum ne palkon se samandr bandh rkha ho.............!!!!!!! *

01awan01 14.01.12 - 07:19am
Us k dil mein thori si jaga mangi thi musafiron ki tarha.

Us ne tanhaiyon ka ik shehar mere naam kar diya............!!!!!! *

01awan01 14.01.12 - 07:23am
Tere bakhshe hoe gham ka karishma hai k ab.

Mujhe har gham apne mayar se kam lagta hai *

01awan01 14.01.12 - 07:36am
Jurte hoe dekha nhi toote hoe dil ko.

Gir jaen jo aansu wo uthaye nhi jate *

01awan01 14.01.12 - 07:37am
Hum ny apni muflassi ka is tarah rakha ha bharam

raabtay kam kar liy, maghroor kahlany lagy *

01awan01 14.01.12 - 07:38am
Ab to mehfil se bhi hota nhi kuch gham ka ilaj.

Pehle to tanhai bhi gham bant liya karti thi. *

01awan01 14.01.12 - 07:42am
Mujh mein be- los Mohabbat k siwa kuch bhi nhi.

Tum agr chaho meri sochon ki talashi ley lo. *

01awan01 14.01.12 - 07:43am
Aarzoo kar na saki tarq-e- talluq ko Qabool.

Tum se Bichre to tumhari yaad k ho bethe. *

01awan01 14.01.12 - 07:44am
Soorat dikha ke phir mujhe betaab kar gaya,

Ek lutf aagaya tha Tere Intezar me.... *

01awan01 14.01.12 - 07:45am
Aik ajab sa nasha he teri yadon mein JAANA

Tere zikr mein likhon to alfaz rashk karte hein *

01awan01 14.01.12 - 07:53am
Udasiyan hi to mere ehad ki alamat hein.

Mein hans prha to bht peeche laut jaon ga. *

01awan01 14.01.12 - 07:54am
Sanson ka chalna agr naam-e-zindagi hai...!

To jeene walon mein mera naam bhi likhna. *

01awan01 14.01.12 - 07:55am
Kuch tu hi mere dard ka mafhum samajh le.

Yeh Hansta hoa chehra to zamane k liye hai *

01awan01 14.01.12 - 07:56am
Ajeeb habs ka mosam he dil k aangan mein.

Taras gaye hen tere sath guftagu k liye. *

01awan01 14.01.12 - 08:00am
Pata hai muntazir rehna boht takleef deta hai,,,

bata ker he chalay jaatay agr jaana zaroori tha.. *

01awan01 14.01.12 - 08:01am
Ramoz e ishq o muhabbat se me nahin waqif,

Rahi hai us ki zarorat muje hawa ki tarah. *

01awan01 14.01.12 - 08:02am
Wabasta meri yaad se kuch talkhiyan bhi thin.

Acha kiya jo mujh ko tu ne framosh kar diya. *

01awan01 14.01.12 - 08:03am
Aik Deewana Musafir Hai Meri Ankhon Mein.

Waqt-be-Waqt Thehar Jata Hai,Chal Parta Hai *

01awan01 14.01.12 - 08:04am
Ehsas-e-Mohabbat k liye bas itna hi kafi hai.

Ke Tere bagher bhi tere sath rehta hoon. *

01awan01 14.01.12 - 08:05am
Tu khamosh kyon hai ye to malum nahi magr. AY-DOST

Dil doob sa jata hai jab tu khamosh hota hai. *

01awan01 14.01.12 - 08:06am
Use kehna palkon par na tanke khawab ki jhalar.

Samandr k kinare ghar bana kar kuch nhi milta. *

01awan01 14.01.12 - 08:07am
Mere Ashkoon Ke Saagar Ko, Koi To Kinaara Doo....... !

Kahin Mein Toot Na Jaoon, MOHABBAT Ka Sahaara Doo....... ! *

01awan01 14.01.12 - 08:09am
Apne Amal pey padti hai nazar tu neend nhi ati

''YA RAB''

Phir ye soch kr sakoon se so jata hon tera aik nam ''Raheem'' bhi hai *

01awan01 14.01.12 - 08:09am
Us K Sab Jhoot Bhi Sach Hain Mohsin

Sharat Itni Hai, Vo Boly To Sahi........!! *

01awan01 14.01.12 - 12:46pm
Mein wo pahaar hon jo kat raha hai pani se.

Ye dil nahi hai mere ansuon ka jharna hai.!! *

01awan01 14.01.12 - 12:47pm
Khumar Bhari Aankhon Ki Har Ek Janbish Afsaana,

Elaahi Hum Unhe Dekhain, Ke Unka Dekhna Dekhain.. *

01awan01 14.01.12 - 12:49pm
Dekhe nahi jate tumhari aankh mein aansoo.!

Tum se gila kar k hum pareshan bahat hein..! *

01awan01 14.01.12 - 12:50pm
Ye mera weham aik din mujh ko dubo hi na de.

Tera aks nazar ata hai samandr ki lehron mein. *

01awan01 14.01.12 - 12:51pm
Har Ek se Tera taluq Mujhe Gawara Nahi

Jab DIL ek hai To Phir Chahatein Beshumar Kyun? *

01awan01 14.01.12 - 12:52pm
Kuch khas dilon ko ishq k alham hote hein.

Muhbat mojza hai, mojze kab aam hote hein. *

01awan01 14.01.12 - 12:53pm
Hal-e-dil sun kar wo azarda hein, shayad un ko.!

Ik haqiqat pe shikayat ka guman guzra hai.........! *

01awan01 14.01.12 - 12:54pm
teraa chehraa hai jab se meri aankhOn mein

meri aankhOn se lOg jalte hain. . .! *

01awan01 14.01.12 - 12:55pm
Jab se dekhi hein wo bheegi hoi ankhen...........!

Hanste chehron pe bhi rone ka guman hota hai.! *

01awan01 14.01.12 - 12:56pm
Chor De Atebaar Qismat Ki Lakeero'n Pe, AY DOST

Jo Dilo'n Mein Bas Jaien Wo Lakreeo'n Mein Nahin Hote ! *

01awan01 14.01.12 - 12:57pm
Aisay Parinday ko Qaid karnay ka Mujhe Shoq Nahi AY DOST

Jo Meray Dil k Pinjray Mein Aa ke, Urnay ka Shoq, Rakhta Ho....! *

01awan01 14.01.12 - 01:02pm
Ye dard k tukre hein, Ashaar nahi...... AY-DOST

Hum kanch k dhagon mein zakhmon ko pirote hein. *

01awan01 14.01.12 - 01:03pm
Gila nahi jo naseebon ne kar diya hai juda.

Teri judai bhi to ab hum se payar karti hai. *

01awan01 14.01.12 - 01:04pm
Wo yon lagta hai logon mein hamesha!

Sitaron mein akela chand ho jese.......! *

01awan01 14.01.12 - 01:05pm
Chup k se utar jate hein wo log kiyon dil mein?

Jin se k muqaddar k sitare nahi milte.............! *

01awan01 14.01.12 - 01:11pm
Dil ki hasrat Zuban pe Aane lagi

Tune dekha aur Zindagi muskurane lagi
*

01awan01 14.01.12 - 01:13pm
Mere mayar ko samajhny k liye bas itna kafi hai

Main us ka hargiz nhi hota jo har kissi ki hoti hai
*

01awan01 14.01.12 - 01:14pm
uljhay hoe hain gardish-e- doran mai aj kal

tum ye na samajhna ke taluq nahi raha
*

01awan01 14.01.12 - 01:17pm
nend aati na thi jin ko meri soorat dekhay baghair

aj wo logon se kehtay hain ye shakhs dekha hua sa lagta hai *

01awan01 14.01.12 - 01:20pm
phir muqadar ki lakeeron mai likh diya intezar

phir wohi raat ka alam aur mai tanha tanha *

6-<< 2-< 1-> 7->>


This topic is locked.
* UrDu-AdAb Forum


Search:
topics replies


* UrDu-AdAb

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store