WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrDu-AdAb - Topics
Create Your Own App Store

* UrDu-AdAb > Topics


Subject: : : Islamic Sharing : : part 2 : :
Replies: 255 Views: 21707
6-<< 2-< 1-> 7->>

01awan01 20.06.12 - 02:35pm
Khush-Haali Laanay Waali 7 CheezaiN:

1. Quran Ki Tilaawat.
2. Namaaz Ki Paabandi.
3. ALLAH Ka Shukr Ada Karna.
4. Majboor Ki Madad Karna.
5. GunahoN Se Tauba.
6. AzeezoN Se Achha Sulook.
7. Subah K Waqt Surah Yaseen Aur Shaam K Waqt Surah Waqia Ki Tilaawat. *

aftab_kn 19.07.12 - 04:39am
Surat FATIHA allah k ghazab se bachati hai,

Surat YASEEN qayamat k din piyaas se,

Surat WAQIA fikar-o-faqy se,

Surat MULK azaab-e-qabar se,

Surat KOSAR dushmanun ki dushmani se,

Surat KAFEROON moat k waqt kufar se,

Surat IKHLAAS munafqat se,

Surat FALAK hasdoon k hasad se,

Surat NAAS waswasun se bachati hai.. *

aftab_kn 19.07.12 - 04:39am
Abdullah ibne - Amr ibnil - As Radiyallahu 'anhuma narrates: I heard Rasulullah s.a.w. saying: Allah had written the desitny of the entire creation fifty thousand years before he created the skies and the earth. He said: And at that time his throne was upon the water.
( Muslim ).. *

aftab_kn 19.07.12 - 04:40am
Abu Darda R.a. narrates that Rasulullah s.a.w. said: Indeed, Allah has decided five things for every slave, his time of death, his deeds (good or evil), his burial place, his age and his sustenance. ( Musnad Ahmad ).. *

aftab_kn 19.07.12 - 04:40am
Abdullah ibne - Amr Radiyallahu 'anhuma narrates that Nabi s.a.w. No person is a true believer until he believe that destiny, good and bad, is from Allah. ( Musnad Ahmad ).. *

aftab_kn 19.07.12 - 04:41am
Abu Hurairah R.a. narrates that Rasulullah s.a.w. said: A beliver who is strong is better and more beloved to Allah than the one who is weak, although both bear goodness. Aspire for what benefits you, and seek help from Allah; and do not give up, and if any adversity befalls you, do not say if i had done this or that, it would have resulted in such and such. But say, Allah so destined and did it as He desired. For verily (the word) if opens the way for the work of SHAITAN. ( Muslim )

Note:
For a man to say that
AGAR MAI AISA KAR LETA TOU AISA HO JATA
Is forbidden when it is used in the context of negating destiny; and to say that destiny is nothing but relying solely on one's planning and efforts is a situation in which SHAITAN gets the opportunity to remove his belief in destiny. *

aftab_kn 19.07.12 - 04:41am
** BELIEF IN THE HEREAFTER **
****** Verses Of Qur'an ******

Allah says: O mankind! Fear your sustainer. Indeed! The tremor of the Hour (of Doom) is a tremendous thing. On the day when you see it, every PREGNANT one will abort her burden (foetus) out of fear; and you will see mankind as drunken; yet, they will not be DRUNK, but indeed PUNISHMENT of ALLAH is severe (because of which they will appear DRUNKEN). ( Al - Hajj:1-2). *

aftab_kn 19.07.12 - 10:20am
Shaddad ibne - Aws R.a. narrates that Nabi s.a.w. said: He is wise and shrewd who takes account of himself and prepares for what is after death. And he is weak and incapable who follows his desires and yet pins high hopes on Allah's Mercy. ( Tirmidhi ).. *

aftab_kn 19.07.12 - 10:58am
*** SUCCESS IS IN OBEYING THE COMMANDMENTS OF
ALLAH TA'TALA ***

Allah says: Indeed in the Messenger of Allah you have a good example (to follow), for the one who hopes for (the meeting with) Allah and the last day and remembers Allah much. ( Al - Ahzab:21 ).. *

aftab_kn 19.07.12 - 10:58am
Umar r.a. narrates that Nabi s.a.w. said: Islam means that you bear witness that there is none worthy of worship except Allah and Muhammad is His Messenger, and to establish Salat, and pay Zakat, and Fast in the Ramadan, and to perform Hajj to the House of Allah if you are able to do so.
( Muslim ).. *

aftab_kn 19.07.12 - 10:59am
Mu'adh ibne - Jabal r.a. narrates: I heard Rasulullah s.a.w. saying: He who meets Allah in such a state that he does not ascribe any partner to Him, observes the Five times Salat and Fasts during the month of Ramadan, he will be forgiven.
( Musnad Ahmad ).. *

aftab_kn 20.07.12 - 03:45am
Fadalah ibne - Ubaid r.a. narrates that Nabi s.a.w. said: The Mujahid (one striving in the Path of Allah) is he who fights against his personal desires. ( Tirmidhi ).. *

aftab_kn 20.07.12 - 03:45am
Abu Hurairah r.a. narrates that Rasulullah s.a.w. said: The world is beliver's prison, and an unbeliever's Paradise.
( Muslim )

Note:
for a believer the rewards and delights of Paradise which are there for him make this world like a prison; and for the unbeliver, - there is endless Punishment in the Hereafter and so this world is for him like Paradise.. ( Mirqat ).. *

aftab_kn 20.07.12 - 09:54am
********** SALAT **********
::::::: Verses of Qur'an :::::::
Allah quoted in Quran supplication of Ibrahim A.s: O My Rabb! Make me an establisher of Salat, and from my descendents also. Our Rabb! And accept my Du'a (supplication)(Ibrahim:40).. *

aftab_kn 20.07.12 - 09:54am
Allah says: (mentioning a virtue of successful belivers) And they who carefully maintain (and are mindful of) their Salat. ( Al - Mu'minun:9 ).. *

aftab_kn 25.07.12 - 12:04pm
AnmOl mOti..

1. KHAMOSHI Gusse Ka Behtarin Ilaaj Hai,
2. SACCHAI Ek Aisa Libaas Hai Jo Kabhi Maila Nahi Hota,
3. MAAF KAR DENA Badla Lene Se Behtar He.. *

aftab_kn 25.07.12 - 12:16pm
Hamare Pyare Nabi s.a.w. ki kuch pyari Adatein...

1. Chalte waqt Nigah Niche Rakhte
2. Salam me hamesha pehle karte
3. Mehman Nawazi khud karte
4. Nafil Namaz chup k padhte
5. Farz Ibadat sub k Samne karte
6. Bimar ki Mizaaj Pursi karte
7. Jab khade ho Ghussa aye to late jate
8. Miswak karte
9. Isha se pehle kabhi na sote
10. Kabhi khulkar na hanste,sirf Muskurate.. *

aftab_kn 25.07.12 - 07:29pm
AnmOl mOtiii..

Ye na shonche ki Allah ta'ala faourun dua khubul kyun nahi karta,
Ye shukar ada karo ki Allah ta'ala hamare gunaah ki saaza faourun nahi deta..

Jab gunnah ke bawajhud raabul izzat ki niyamaatein musalsal tumhey milti rahi
to HOSHIYAAR ho JAO ki tumhara hisaab karib aur sakhat tarin hai... *

aftab_kn 25.07.12 - 07:35pm
Anmol Batein..

1] ALLAH dey k bhi azmata hay lay k bhi azmata hay,
2] Gunah mein lazzat zaroor hai magar sukoon nahi,
3] Baat alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai,
4] kisi k baray mein bura mat socho, ho sakta hai wo Allah ki nazar mein hum se behtar ho.


Jab ek Momin doosre momin ki bhalai wali ghaibana Dua mangta hai to farishta Aameen kehta hai aur saath ye bhi kehta hai ke ALLAH tujhe bhi waisi hi bhalai Ata Farmaye.. *

aftab_kn 26.07.12 - 05:40am
Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay To sadqa de ker ALLAH se tijarat karo..
HAZRAT ALI R.A. *

aftab_kn 26.07.12 - 05:45am
Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dusri naimaton ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain, aur Tum unki shukar guzari nahi kertay.. HAZRAT ALI R.A. *

aftab_kn 26.07.12 - 05:50am
Tum accha karo aur zamana bura samjhay Yeh tumharay haq mai behter hai,
Bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko accha samjhay,
HAZRAT ALI R.A. *

aftab_kn 26.07.12 - 05:57am
Yeh zindagi 2 din ki hai..
1 din tumharay haq mai, aur
1 din tumharay mukhaalif,
Jis din tumharay haq mai ho,
us din ghuroor mat kerna.. aur jis din tumharay mukhaalif ho, us din sabr karna..
HAZRAT ALI R.A. *

aftab_kn 26.07.12 - 06:06am
Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hay.. HAZRAT ALI R.A. *

aftab_kn 26.07.12 - 06:11am
Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KHUSHBU chor jata hai jo isay masal k phenk deta hai.. HAZRAT ALI R.A. *

aftab_kn 26.07.12 - 08:29am
Hazrat Moosa A.S. Ne Allah Se Arz Kia :-
Ya Allah KIA hi acha hota ke dunya me 4 cheezen na hoti..

(1) Zindagi hoti maut Na hoti,
(2) Sehat hoti bemaari Na hoti,
(3) Daulat hoti tangdasti Na hoti,
(4) Jannat hoti doozakh na hoti,

GHAIB SE AWAZ AAEE:-

(1) Agar zindagi hoti maut Na hoti to mera deedaar kaise hota
(2) Sehat hoti bemaari Na hoti to mujhe kon yaad karta,
(3) Doulat hoti tangdasti Na hoti to mera shukar ada kon karta,
(4) Jannat hoti doozakh Na hoti to mere azaab se kon darta.. *

aftab_kn 26.07.12 - 11:18am
Rasool s.a.w. ka irshaad hai..
* Sub Se Zeada Fazeelat Wala Ammal LA ILAHA ILLALLAH Aur Behtareen Dua ASTAGFAAR Hai *

* ILAM Ki Talab Her Musalman Mard Aur Aurat Per Farz Hai *

* Tum Mein Se Behtar Woh Hai Jis Nay QURAN Sikha Aur Dusron Ko Sikhaya *

* Jis Nay Mujh Per Aik Martaba Darood Bhega , ALLAH Nay Uss Ke Liye Aafiyaat Ka Aik Darwaza Khol Diya *

* Woh Hum Mein Se Nahi Jo Hamaray Chotoun Per Reham Aur Hamaray Barroun Ka Ehtaraam Na Keray *

* Rishwat Dene Wala Aur Rishwat Lene Wala Dono Jahanum Ki Aag Mein Hein * *

aftab_kn 26.07.12 - 11:28am
_Andheron ko wo Noor deta hay.,
_Zikr uska, dil ko suroor deta hay,
_Uss k dar se jo B maango,
_Wo ALLAH hay, zaroor deta hay. *

aftab_kn 26.07.12 - 11:30am
Ya Allah! Jo Tu ne dia aur
Jo Tu ne nhi dia aur
Jo Tu ne de kar le lia,
Un sab par Tera SHUKAR!
Q k
Jo Tu ne dia wo
Teri NIAMAT
Jo Tu ne na dia wo
Teri HIKMATAur
Jo Tu ne de kar lia
Wo HamaraIMTIHAN!
Ya Allah!
Hamen har Haal ma
Shukar ada krne ki
Taufiq ata farma!

.......yaaa....
=ALLAH=

mujhko Bakhsh de
aisi Maafi k jis k baad Gunah na ho,
aisi Hidayat jis k baad Gumrahi na ho,
aisi Raza jis k baad narazgi na ho,
aisi Rehmat jis k baad azab na ho,
aisi Kamyabi jis k baad Nakami na ho,
aisi Izzat jis k baad zillat na ho.
..AAAMEN.. *

aftab_kn 26.07.12 - 07:20pm
Be-Shak Jannat Main 1 Darwaza Hai Jis Ka Naam Rayyan Hai,
Uss Darwazay Se Sirf Roza-Daar
Dakhil Hon Ge..(MUSLIM).. *

aftab_kn 26.07.12 - 07:24pm
SUBHANALLAHI WABI HAMDIHI SUBHANALLAH HIL AZEEM
Isko 1 Bar Padne Pr 20 Lakh' Nekiya Milegi..
Hame bhi apni duao me yaad rakhe Dosto
.. *

aftab_kn 27.07.12 - 04:59am
Dete Hai Apko Dawat Namaz Ki,
Taqdir Wale Pate He Daulat Namaz Ki.
Jis Ghar Me Log Karte He Izzat Namaz Ki.
Us Ghar Me Payi Jati He Barkat Namaz Ki... *

aftab_kn 27.07.12 - 10:00am
Buri Aadatein I mean Gunah..
E.g..
Ek Kantay Ka Darkht..

Ek Kantay Ka Darkht Kisi Kay Ghar kay samnay pada hoga
to parosiyo ney kaha is ko aa kar ukharo,
us ne kaha kal aa kar kanteyge
or kal kal karte karte Darkht ney apni jagah mazboot bana li or ukharney wala budha ho gaya,

Tou hum sab ko bhi chahiye kay buri adaton ko nazar andaz na kare
yeh dil mein aase jam jaegin kay hume hosh bhi nahi hoga or ase hi halat mein ALLAH kay pass chale jaegay
jaldi koshish karo kay himat ki bazi mar le hum,
or ALLAH ko PAA le hum.. *

aftab_kn 27.07.12 - 10:07am
ALLAH Kay Nafarman Banday Or Bewafa Banday..

ALLAH nay Hazrat Dawood A.S. se kaha mere nafarman bando ko khushkhabri suna do

Tou hazrat dawood a.s. khne lagey nafarman bando ko khushkhabri??
khushkhabri to farmabardaro ko sunai jati hai

To kaha kia sunaon
To ALLAH ne kaha un se kehdo ek aurat ya ek mard
itne gunah kare itne karay kay ek mard ya ek aurat kay gunah asman ki chatt ko lag jaein
or bas ek bar mere pass a kar keh dey
YA ALLAH meri tuaba mein us kay sare hi Gunah maf kardunga.. SUBHANALLAH...
or
App ko ek baat bataon koi bhi mard ya aurat itne gunah kar hi nahi sakta
kay asman ko laga sakay
to kitna kareem ALLAH hai to hum kyun is bewafa duniya mein pare hian
is mein hai hi kia
chand shamein hain
chand subha hain
phir wohi luat kay chale
jana hai

NA JANAY PIYA BULA
LE KIS GHARI
REH JAE THAKTI
KHARI KI KHARI

ALLAH hum sab ko tuaba ki Taufeeq ata farmaein.. Aameen.. *

aftab_kn 27.07.12 - 10:20am
Muhammad S.A.W. Ki Sunnat Par Pass Ya Fail..

Ajkal yeh aam hogaya hai sunna kay ek sunnat hi to hai ada ki to sawab na ki to koi gunah nahi to brother's and sister's ek baat sochein 50 lakh ki car ho ap ki us kay ek wheel mein se sirf ek wheel mein se hawa nikal di jaye to kya wo car chalne kay kabil rahegi ??

Tou islam mein say sunnat nikal dogay to khud kese chalegein hum halake ALLAH se milne ka rasta Muhammad S.A.W. Ki pak zindagi hai or han app ko batadun ek ek sunnat jo hum karegein wo maidan e hashar mein pass ya fail ka kam kara rhi hogi jese humare college mein hota haina ek ek mark se pass ya fail wese hi yeh ek ek sunnat pass ya fail kara rahi hogi to khudara har kam jo karo sunnat kay mutabiq karo sharmao mat yeh us ki sunnat hai jis kay hath mein jannat ki Chabi hai Yakeen rakho tum bulandi pe hi jaogay neche nahi aogay,

ALLAH hmein sunnat pe chalne ki taufeeq de.. Aameen... *

aftab_kn 27.07.12 - 10:30am
Jis Ki Jawani ALLAH Pe Fida Hogi Us Ko Hashar Kay Roz Arsh Ka Saya Milega
Jis ko arsh ka saya milega us ka hisaab nahi,

Ajkal humhari jawani sirf galat kamo mein hi use ho rahi hai ALLAH nay humein jawani isliye di thi kay hum
Ganay sunay,
Larkiyan dekhein,
or phir jab burhay ho jaein to luat aein ALLAH ki taraf
Chalo yeh to ek baat hai burhapa,
Agar jawani mein hi mout agai to phir ??
ALLAH nay pooch lia kia laye ho to hum ALLAH ko kia dikhaegein ??
Qayamat kay din humaray Nabi S.A.W. nay hi pooch lia hum say tumhe mera khayal bhi na aya phir hum kaha se jawab laegein please apni jawani ALLAH ko do hume wo milega jo hum soch bhi nahi saktay
yeh duniya jis kay piche hum bhagte hain gurantee de raha hoon hamare qadmo mein hogi,
yeh duniya ALLAH ki hai.
Or
Ek or baat 100% apni zindagi ko rakh k bata raha hoon,
Yeh jo dil ALLAH nay banaya haina is mein koi jaa hi nahi sakta is pe ALLAH ka pehra hai jaega to sirf ALLAH jaega or koi nahi ja sakta na paisa na aurat, Dilo kay badshah banna Chahte ho to is dil mein ALLAH ko apna bana lo or MUHAMMAD S.A.W. ki zindagi ko Apna lo.. *

aftab_kn 27.07.12 - 11:07am
ALLAH hum se farmate hain Kabhi Mujh Se Acha Bhi Kahin Dekha ??
Kabhi kisi ne sukh diya mere siwa tumhe ?
kabhi kisi ne rizk
diya tumhe ??
kabhi kisi nay aisa chaha tumhe jesa
mein tumhe chahta hon ??
Agar mein tumhari izzat karlon to koi hai jo tumhe zalil kar kay dikha day,
Agar mein tumhe zalil karne ka faisla karlon to koi hai jo tumhe izzat de kar bata dey,
Yeh duniya,
Yeh kainaat,
jab tu is duniya mein aya bhi nahi tha
Mere bande tab bhi tujhe khilata tha,
tu jhuk mere agay ya na jukh tujhe mein khilaonga lekin sun,
sun
Yeh kainaat meri hai
Yeh duniya meri hai
Ek din tujhe luat kay
mere pass hi ana hai
Phir mein hunga
Mera adal hoga
Phir kyun nahi mantay meri, Kyun apni chalate ho
Kia yeh duniya walay tumhe sab de degein ??

Dear freinds mein app ko daway kay sath keh raha hon

Aisa koi nahi hai duniya mein Na koi aisa dost
Na koi aisa chahnay wala
jo ALLAh say ziada humeh chahe..

Namaz prhte hain to
ALLAH kehte hain ab sirf tu
or main hoon or koi na ho lekin Namaz mein bhi yahan ALLAH o AKBAR kehte hain
yaha masjid say bahar chale jate hain,

ek misal dun app ko,
kisi ki beti ya behan hoti haina to ghar mein yeh hota hai susral jana hai is ko yeh chali jaegi to us ki tayari bhi hoti phir us ko sajaya jata hai

to humein bhi ALLAH kay pass jana hai or phir wo dulhan ki sab tareef karte hain to wo dil mein kehti hai jis kay ghar jarahi hon us ko bhi to pasand aoon..

to hum bhi to apnay ap ko aisa banaye kay ALLAH kay ghar pe jana hai un kay samne khara hona hai

Aisa Kareem ALLAH Hai mein ap ko kia bataon ek bar tuaba karo tumhara dil aisa saf ho jaega jese aj hi paida hove ho or ALLAH kehte hain mere bande ab aisa ana phir wapis na jana or yeh zameen kehti hai Ya ALLAH ijazat day nigal jaon Asaman kehta hai charh jaon in nafarmano pay to ALLAH kia kehte hain jao jao tumhare banday hain to
pakar lo pakar lo
agar mere banday hain to Mein is ki tuaba ka intezar karaha hoon..

Allah Tu Kitna Raheem hai..
Aey mere Allah meri Touba..
Mujeh maaf kr de mere Moula.. *

aftab_kn 27.07.12 - 08:18pm
AAKHIRAT Ka PAPER Out Hai?

Section A
QABAR

Section B
HASHAR

Section A Mein 3 Q/s Hain

Q1.Tumhara RAB Kaun Hai?
Q2.Tumhara DEEN Kya Hai?
Q3 Tumhare NABI Kaun Hain?

Section B 5 Q/S

Q1. Apni Umar Kaise Guzari?
Q2. Jawani Kin Kamon Me Kharch ki?
Q3. Maal Kahan Se Kamaya?
Q4. Aur Kahan Kharch kiya?
Q5. Apne ilm Par Kya Amal Kiya?

Jo is Msg ko Padhe,
Wo Tyari Kar Le
Aur
Dusro Ko Bhi Bataye
Pata Nahi
Exam Kab Start Ho Jaye.. *

aftab_kn 27.07.12 - 08:24pm
ALLAH k khouf se sirf ek gunaah chod dena ek lakh tahajud/nafil Namaz se badkar h.

Ae mere ALLAH Mere har Momin bhai / bahan ke wo tamaam gunaah maaf farma de jo unki Dua ki kabuliyat me rukawat bane h.
AAMEEN.......

Allah hafiz Dosto Dua me Yaad... *

aftab_kn 30.07.12 - 07:51am
ONE QUESTION MY ALL FRND'S..

HUM KISKI IBADAT KARTE HE ?

JISNE HUM KO BANAYA USKI..

YAA JISKO HUM NE BANAYA USKI... *

aftab_kn 30.07.12 - 07:53am
Islam is University,

World is class room,

Quran is Sylabus,

Hazrat Muhammad SAW is the teacher,

Allah is the Examiner,

Try to pass the final exam.. *

aftab_kn 30.07.12 - 07:53am
IMAM UL AMBIYA MUHAMMAD-UR-RASULULLAH S.A.W. Ne Farmaya,

Sawar Pedal Chalney Waley Ko Or Chalney Wala Baithey Huway Ko Salam Karey,
Or Thoray Log Ziyada Logon Ko Salam Karen,
Or Chota Barey Ko Salam Karey.. *

aftab_kn 30.07.12 - 07:54am
Jis Insan me 3 SIFAAT hongi wo kbhi SHARMINDA na ho ga..

1-Sabr-o-Tahmmul,
2-Salah-o-Mashwara,
3-ALLAH pr Tawakkal
O Bharosa.. *

aftab_kn 30.07.12 - 07:55am
Jiska raabita khuda k saath ho wo nakaam nahi hota Nakaam wo hota ha Jiski umeedain duniya se wabasta hon..
HAZRAT ALI R.A.. *

aftab_kn 30.07.12 - 07:56am
Sabar aik asi swari hai
jo sawar ko kabhi girnay
nahi daiti.. Hazrat Ali R.A.. *

aftab_kn 30.07.12 - 07:56am
1 bar Ap S.A.W. ne shaitan ko kamzor dekha to wajah p0uchi,
Wo bola
Ap S.A.W. ki ummat ki 6 khaslatain mujh say brdasht nahi

1- jab milen to salam karte hain,
2- musafah karte hain,
3- jb koi kam kerna chahte hain to INSHALLAH kehte hain,
4- Astaghfaar karte hain,
5- Ap S.A.W. ka naam suntay he durood bhaijtey hain,
6- har kam ki ibtida Bismillah se karte hain.. *

aftab_kn 30.07.12 - 07:58am
Aik Kabristan Kay Bahir Likha Tha:

Kabhi Hum Aisay Thay Jaisay Tum Ho,

Aur Kal Tum Aisay Ho Gay
Jaisay Aj Hum Hain,

Yeh Aik Khamosh Message Hay Sab Kay Liye.. *

aftab_kn 30.07.12 - 08:33pm
Ramzan' Ka Pehla Ashra
(1 Se 10 Roze Tak)
Rahmat Hai.. La-Ilaha-IlAllah..

Dusra Ashra
(11 se 20 Tak)
Magfirat Ka Hai.. Ashtagfirullah..

3ra Ashra
Jahannam' Se Aazadi'
Ka Hai.! Wauzubiq-Minan-nor..

Is Dua ko Is Mahe Ramzan me Khub Padhe..

La-Ilaha-IlAllah
Ashtagfirullah
Ash-Aluqal
-Jannah : Allah Jannat denge
Wauzubiq-Minan-nor.. *

aftab_kn 30.07.12 - 08:34pm
************ DIN ************
************* KA ************
*****ILM - ILM - ILM - ILM*****

ILM - IBADAT HAI USE ADAA KIJIYE..
ILM - ROSHNI HAI USE FALAAIYE..
ILM - DOSTI HAI ISE NIBHAIYE..
ILM - DOULAT HAI USE HASHIL KIJIYE...
ILM - TAQAT HAI USE BADHAIYE..
ILM - DIN HAI USE SHIKHIYE AUR SHIKHAIYE.. *

aftab_kn 30.07.12 - 08:35pm
1 Masjid ke darwaze par likhi 1 khoobsurat baat..

khuda k pas aap ki dua sunne k liye bahut waqt he, Lekin kya aap k pas dil se dua mangne k liye waqt he??. *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrDu-AdAb Forum


Search:
topics replies


* UrDu-AdAb

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store